isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rahta hai

zamin-e-dil yun hi shadab to nahin ai dost
qarib main koi dariya zarur bahta hai

na jane kaun sa fiqra kahan raqm ho jaye
dilon ka hal bhi ab kaun kis se kahta hai

mere badan ko nami kha gai ashkon ki
bhari bahar main jaise makan dahta hai

posted under | 0 Comments

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi
mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya
kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha
magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki

posted under | 0 Comments

Guman

main kachi nind main hun
aur apne nim khwabida tanaffus main utarti
chandani ki chap sunti hun
guman hai
aj bhi shayad
mere mathe pe tere lab
sitare sabat karte hain

posted under | 0 Comments

Dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana

Dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana
wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna

wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat
us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna

ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum
dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna

daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan
nur main duba hua subah ka anchal milna

posted under | 0 Comments

dasht-e-shab par dikhai kya dengi . . .

dasht-e-shab par dikhai kya dengi
silawaten roshani main ubhrengi

ghar ki diwaren mere jane par
apni tanhaiyon ko sochengi

ungaliyon ko tarash dun phir bhi
adatan us ka nam likkhengi

rang-o-bu se kahin panah nahin
khwahishen bhi kahan aman dengi

ek khushbu se bach bhi jaun agar
dusari nikahaten jakar lengi

khirkiyon par dabiz parde hon
barishen phir bhi dastaken deng

posted under | 0 Comments

chehra mera tha nigahen us ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

posted under | 0 Comments

barish hui to phulon k tan chak ho gaye

barish hui to phulon k tan chak ho gaye
mausam k hath bhig k saffak ho gaye

badal ko kya khabar k barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye

jugnu ko din k waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad k chalak ho gaye

lahra rahi hai barf k chadar hata k ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq k pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham k namnak ho gaye

sahil pe jitne abguzida the sab k sab
dariya k rukh badalte hi tairak ho gaye

posted under | 0 Comments
Older Posts

Followers


Recent Comments